Friday, June 22, 2007

Mere Dost

Mere dost main woh nahi jo dikhta hu
Jaan bujkar maine ek libaas pehen rakha hain
jo muje tumhare sawalon se bachata hain
aur tumhe mere taghaful se

Mere dost jab tum guzrti hui hawa ki aur ishaara karte ho
mera dil to kisi samunder ki gehraiyon main khoya rehta hain
tumhare kehne par hi main apni gehraiyon se uthkar
guzarti hui in hawaon ko mehsus kar leta hu,
kyunki main jaanta hu tum mere samunder ko samaj nahi paoge

Jab tumhara yaha kisi ujle din ki shuruat hoti hain
mere waha ek suni raat apna geet gungunati hain
tumahri nazro se main suraj ki kirno ko failta hua dekh leta hu
jab ki tum taaron se pankh ladaati meri raat nahi dekh paate

Dost jab tum kisi jannat ki aur chal padte ho
main apne jahanum main simat jaata hu,
tunhare saath main kabhi jannat ko dekh leta hu
par hamesha main tumhe apne jahanum se dur rakhta hu
kyunki main jaanta hu yaha ki aag tumhari aankhein jala degi
aur yaha ka dhuaa tumahra chehra pighla dega,

Jab tum has padte ho main bhi has leta hu
tumahre khwabo ki duniya main sang tumhare ho leta hu
meri jujlaati hui haqeeqat se tumhe bahut dur le jaata hu
kyunki tum meri deewani duniya se waqef nahi
aur muje tumhare jaha se nahi koi wasta
fir bhi ae dost ,saath saath
hum chal padte hain kisi anjaan safar per
thame dosti ka haath..

No comments: