Friday, July 6, 2007

Kya Meri asliyat kya meri pehchan

Kya Meri asliyat kya meri pehchan
miti main mil jaubga hu miti se bana insaan

khilona khwab ka liye firta hu
jhujti hui haqeeqaton ke dauraan

uthkar sambhalta raha na jaane kaise
anginat giravaton ke darmiyaan

rah-e-wafa se kabhi jo ho guzar to dekhna
hain ret par aaj bhi kuch kadmon ke nishaan

raaste aksar dikhate hai unhe rasta
saath na ho jinke hunsafar na karwaan

daulat aur shohrat se kabhi na tola kijiye
mere sher hi hain meri aakhri pehchhan.

Chand umeedon ke hawale jab humne zindgai kar li

Chand umeedon ke hawale jab humne zindgai kar li
Dafnaya un ummedon ko samje khudkhushi kar li

Andhere bhi rahe hain kucch talabgaar mere
Dilon ko jalakar jab humne roshni kar li

Muuh hum bhi fer chuke the ab duaaon se
Duriyaan unhon ne jab neki se kar li

Hain ishq takhallus bandgi ka suna tha 'Deep'
Humne bhi socha kucch der bandgi kar li

Majburiya zahir karna apni fitrat na thi
shayri ke bahane thodi aapbeeti kar li

Sunday, July 1, 2007



Nature is the best make up artist ,or else how would devilish hearts have angelic faces.

Jazba-E-Umid Se Mila Hain Dard Ka Fasana

Jazba-E-Umid Se Mila Hain Dard Ka Fasana
Kis Umid Per Kayam Hain Ab Ye Zamana

Tark-E-wafa Koi Seekhey Bhi Toh Tumse
Mushkil Hain Itna Kya Wafayein Nibhana

Lutf Se Pee Raha Tha Alam Khushiyo Ke Jaam
Humne Jab Chaha Peena To Tuta Har Paimana

Hausla-E-Dil Se Hum Nigahein Mila Bhi Lete
Kya Khub Aata Tha Magar Unhe Nigaahein Churana

Fir Usi Rehguzar Per Laayi Hain Yaadein "deep"
Fir Tarsa Hain Kisike Liye Kisika Ashiyaana