Sunday, June 3, 2007

Wo Haq Is Tarah Muj Par Jatata Raha

wo haq apna is tarah muj par jatata raha
bankar ek khwab muje satataa raha

saari qayanat main ek cheez toh maangi thi
tu wo bhi dene se ghabrata raha

dekha hai humne apnio duaon ka asar
fir kuch maangne se isliye katrata raha

mere hisse ke phool tere daman main rakhkar
ghar apna kaaton se sajata raha

kuch khat apne bhi naam likh rakho

qaasid ghar tumhare khaali haath aata raha

thi tujhe kis roshni ki talash "deep"
kyu andheron main tu khud ko jalata raha


2 comments:

mini said...

deep

oh my GOD, u r excellent..such a maturity & clarity in ur thoughts and u weaved also into ur words..that is amazing. my advise would be just keep writing that the best way to excel just keep scribbling..
wat i like best in u is ur urdu is par excellence and u should start attending mushiaras...start promoting it but thru the right channel..would be always with u and try to be ur critics as well. loads of love mini

Unknown said...

Thanks Mini for your compliments